Tuesday, 1 September 2015

Panchu Bhai

Panchu Bhai Ki chai Ki toli


Panchu bhai ki chai ki toli
Sab ke mun mein ek hi boli

Kya hai woh baat ?
Panchu bahi ke saat?

Lagan tha uska pucca
Wohin bana Medina -Mecca

Panchu bhai ne dil khola
Ushka ilm ushe bola

Ezzat ki roti kamai ushne
Pyar ki chai pilai ushne

Unnati ushke saat thi
Nishta ki rah thi

Kitne aaye kitne gaye
Panchu bhai tike rahe

Ek din kishi ne ushe poochha,
“Kya hai tere raaj, e to bata?”

Ush ne tab hanske bola-

“Kutte ki chaal, meine Chala
Pyar ke bol meine Bola

Laagan se maine jalaya chulah
Jaada suna, kam bola “

                                     By- Prof. Swarup K Mohanty 

Kadwa Sach


kitni ashani se kisiki burai kar dete  ho tum
aur sahaz se kah bhi dete ho ki tum bahut achhe ho
acche bure ki paribhasha mein ab kuch khot aagayi
bure ko bhi acche kahane lage chor -chor- mausho-re -bhai

kadwapan neem ki prakriti hai
acche kahte hein kam, burai khub hoti hai

E sab tum jante ho
phir bhi oongli dekhate ho
"ahum" mein oolajh jate ho
oosh ko hi pate ho
acche bure kahte ho

sab kuch sambhab hai inhan pe
parakhna na bhulna
aur khamosh rahna hi accha hai
jab ashman  badal sakta hai
to dharti ka kya kahna.
 12.45 am, 20/12/1994,Ananad nagar,chitawad rd, Indore 

Bheegi palko ne chupke se kah diya

Bheegi palko ne chupke se jo kah diya;
woh dard -e-didar jo dil ko chhoo liya..
phir bhi e dil hai
kambkt samjh ke bhi nasamajh banta hai...
namie hai aankhe par labhon pe hai hashi
uljhee hui hai jindegi ,na kher hai na khushi
aapno ne jaab apno se hi oob gaye
suljhee hui jindegi kuch aaj bikhar si gai
uljhano se hamein nahin shikayat koi ..
yeh to waqt ki tedhi nigahein hei;
Bheegi palko ne chupke se jo kah diya;
woh dard -e-didar jo dil ko chhoo liya..
phir bhi e dil ka maamla hai;
kambkt samjh ke bhi nasamajh banta hai
by Swarup K Mohanty (copyright,2013)

इस आज को अपनाए तो जाए

इल्म से निकली किताब मैं
आज पर लग गये हैं
हाँ सुखे फूलों की भीनी ख़ुशबू
नहीं है ज़रूर
पर महसूस ही 
असली परबाज़ है
आज शब्दों मैं पंख लगे है
चलो एक बहाना ही सही
इस आज को अपनाए तो जाए
                      -स्वरूप क मोहंती

DOR

 JINDEGI SE JOODE YE BAAT THI
YADON MEIN SIMTI HUI EK RAAJ THI
HIRNI AANKHO BALI 
EK LADKI THI KHOOB NIRALI
NAK MEIN THA USHKA GUSHA
AUR LADTI THI MUJH SE HAMESHA
JAB MEIN KAH TA- 'EH PATANG NA UDA BAR NA KAH DUNGA TERI MAA SE,
 KHAPHA HO JATI THI  KAH KE MUJH SE- ' KATTI'
TAB LAGTI THI BEHAD MITHI

CHAR SAL BAD AAJ WOH AAI HAI
SATH MEIN DO BACCHE BHI LAI HAI
DO SIDI OOTHE HI WOH HUMP GAI
MERI AANKHE MILTE HI AAJ KAMPH GAI

PYAR SE MENE USHE POOCHHA -

"EH PATANG KHELEGI'
KUCH NA BOLI
MUSHKURA DI
 BHOJHAL SE AANKHE USH KI RO PADI

JINDIGI ke SAFAR MEIN KAI LOG MIL JAaTE HEIN AISE
HANSH KE AANSHU PEENE WALE KUCH HOTEIN HAI AISE
JINDEGI HAI EK AZOOBA PATANG JAISE 
KON JANE KISH KO DOR MIL JAI KAISE.

PURNIMA KI RAAT

PURNIMA KI RAAT
Purnima ki raat thi
Raat ne angdai le chukithi
Sab praya so gaye the
Aur kuch the sone ki prayas mein
Bash ek do kutte bhonk rahe the

Purnima ki raat thi
Raat ne angdai le chukithi

Dhabbu Gadaria Madmast tha,
Nashe mein.
uski Jaaban Betee,
Tandra -sakt, prem- pranay mein
Badbada rahi thi uski premi ka naam.

Dabe paon ambra-kunj ke aur badh rahethe do premi, Jhurmoot ke sahare lete huye .

Purnima ki raat thi,
Raat ne angdai le chukithi .
Sab praya so gaye the
Aur kuch the sone ki prayas me.
Bash ek do kutte bhonk rahe the.

Dur pahadi ke niche
Aadibashiyon ke mridu sangeet
Gooj rahatha kano mein .

Khet khelihar mein kheel rahithi basmati
Ushki khushbu hawa mein samagaithi
Charon-aur bikhri huithi jyotsna Aur chamk rahatha kheton mein chidia- bhaga

Purnima ki raat thi
Raat ne angdai le chukithi .
swarupkmohanty
28.08.1999